faqat khudi se jise pyar hai agar hai bhi hamein usi se sarokar hai agar hai bhi wo be-misal jo takmil kar sake meri jahan khwab ke us par hai agar hai bhi bhare jahan mein sitaron mein sab zamanon mein bas ek tu mera mear hai agar hai bhi ab aur beach mein hail nahin hai koi hijab bas ek parda-e-pindar hai agar hai bhi hamare sher se mat munh phira ki apne pas yahi saliqa-e-izhaar hai agar hai bhi janab-e-shah taghaful to kya dil-e-bekas isi saza ka saza-war hai agar hai bhi