faqat lafzi dalilon se koi qail nahin hota

faqat lafzi dalilon se koi qail nahin hota
kitabi zindagi jine se kuchh hasil nahin hota

bada dushwar ho jata tamiz-e-nek-o-bad karna
agar haq ke muqabil mein koi baatil nahin hota

agar taqsim hoti rizq ki dini usulon par
to phir duniya mein koi shakhs bhi sail nahin hota

sadaqat maut ki dahliz par elan karti hai
mera jazba kisi hathiyar se ghayal nahin hota

zamana dekhta rahta hai honton ke tabassum ko
magar tute hue dil ki taraf mail nahin hota

ye but haalat hi insan ko behis banate hain
wagarna pattharon jaisa kisi ka dil nahin hota

jise dekho wo ghurbat ke kafan mein sans leta hai
hamare shahr mein ab koi bhi qatil nahin hota

yahan hai tairte rahna baqa-e-zindagi 'sarwat'
zarurat ke samundar ka koi sahil nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close