faqat main kyon rahun ruswa teri ruswai bhi to ho

By hilal-badauniMay 17, 2022
faqat main kyon rahun ruswa teri ruswai bhi to ho
sitamgar teri mahfil mein shab-e-tanhai bhi to ho
tujhe pane ki khwahish mein jo rakh de jaan bhi girwi
zamane mein mere jaisa koi saudai bhi to ho


main tum ko bewafa kahta hun to is mein bura kya hai
ye mana main ki tum apne ho magar harjai bhi to ho
main kaise dub sakta hun wafa ke khushk dariya mein
tere dariya-e-ulfat mein koi gahrai bhi to ho


shab-e-furqat ka har lamha sitare gin ke kata hai
bichhad ke tujh se ek pal ko hamein nind aai bhi to ho
main kaise man lun tu hijr mein rahta hai nam-dida
teri aawaz meri tarah se bharrai bhi to ho


masarrat ke tarane kya sunaen saz-e-gham par hum
khushi ke git gane ke liye shahnai bhi to ho
'hilal' apne muqaddar mein nahin tha wasl-e-jaanana
dua hum ne bahut ki thi magar bar aai bhi to ho


80773 viewsghazalEnglish