faqat zamin hi nahin aasman mera hai faqir-e-‘ishq hun sara jahan mera hai hasab nasab ki ye baaten to kaghazi hain faqat jahan bhi 'ishq hai wo khandan mera hai mera wajud hai qaem isi ta'alluq se hawaen us ki hain aur baadban mera hai meri ghazal abhi mayus ho nahin sakti abhi to shahr mein ek qadr-dan mera hai abhi to par bhi nahin khole us ne udne ko abhi se kahne laga aasman mera hai