faqir-KHak-nashin the kisi ko kya dete
By khalid-aligFebruary 27, 2024
faqir-khak-nashin the kisi ko kya dete
magar yahi ki wo milta to hum du'a dete
gali gali mein pukara nagar nagar ghume
kahan kahan na phire tujh ko hum sada dete
lagi ye dil ki bhala aansuon se kya bujhti
sarishk-e-dida-e-gham aur bhi hawa dete
suna hai ahl-e-hakam par giran thi meri nawa
ye baat thi to mujhe bazm se utha dete
ye kaam kam tha ye kar-e-payambarana tha
ki ek charagh sar-e-rahguzar jala dete
jawab-e-pursish-e-gham ke hazar pahlu hain
hum apne hosh mein hote to muskura dete
ghubar-e-rah nahin the ki baith jate hum
guzar gae hamein aawaz naqsh-e-pa dete
gharon mein aag laga kar bhi kya mila 'khalid'
dilon mein aag lagi thi use bujha dete

30078 viewsghazal • English