faragh-e-mehr-o-wafa se jo haT nahin sakta

By mirza-naseer-khalidJanuary 4, 2024
faragh-e-mehr-o-wafa se jo hat nahin sakta
kabhi samaj se millat se kat nahin sakta
jo sidq-e-dil se tu kar de meri sataish bhi
mujhe yaqin hai tera qad bhi ghat nahin sakta


hawala us ka kabhi mo'tabar nahin rahta
jo aap apne usulon pe dat nahin sakta
mere wajud ki sab kirchiyan sanbhaal ke rakh
ki ab mazid main tukdon mein bat nahin sakta


kisi ka sath na ho to bahut hi mushkil hai
ye zindagi ka safar yunhi kat nahin sakta
ise 'amal ke pasine ki barishon se bitha
ghubar-e-rah du'aon se chhat nahin sakta


bahu ko apni hi beti samajh le sas agar
to phir kisi pe bhi chulha ye phat nahin sakta
faqat use hi pata hai main kya hun andar se
main apni zat ke aage to dat nahin sakta


aur ab to takht ya takhte ki baat hai 'khalid'
main aa gaya jo muqabil to hat nahin sakta
39625 viewsghazalEnglish