fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe naqab uthao ki kuchh din zara bahaar rahe kharab-e-shauq rahe waqf-e-intizar rahe ab aur kya tere wadon ka e'tibar rahe main raaz-e-ishq ko ruswa karun maaz-allah ye baat aur hai dil par na ikhtiyar rahe chaman mein rakh to raha hun bina nasheman ki khuda kare ki zamana bhi sazgar rahe junun ka rukh hai harim-e-hayat ki jaanib ilahi parda-e-auham-e-e'tibar rahe