fareb-e-zau mein hamein kis ne la uchhaala hai
By mohammad-shahid-firozNovember 7, 2020
fareb-e-zau mein hamein kis ne la uchhaala hai
sujhai kuchh nahin deta kahan ujala hai
wagarna kaun tha jo teri parwarish karta
khuda-e-fikr tujhe main ne hi to pala hai
tamasha dekhti aankho salamti pao
tumhaare shauq se kartab mera nirala hai
main apne karb ko sahla raha hun muddat se
ye meri rakh pe sar rakh ke sone wala hai
mere liye hai wahi mera hukm-e-kun 'shahid'
hisar-e-waqt se jo lamha bhi nikala hai

30308 viewsghazal • English