fariyaad ki wo shoKH sitamgar na aaya

By obaidullah-khan-mubtalaNovember 12, 2020
fariyaad ki wo shokh sitamgar na aaya
mujh qatl kun le hath mein talwar na aaya
main pamba-naman narm kiya bistar-e-tan kun
wo piu qadam dharne ko yakbar na aaya


chhut aah pichhe kaun mere dard ka ahwal
mujh dukh ki khabar lene wo gham-khwar na aaya
jaane hai wafadar mujhe dil mane lekin
dahshat se raqiban ki wo na-chaar na aaya


aaram gaya bhuk nahin nind gai bhul
afsos ki wo tala-e-bedar na aaya
bulbul ki naman aas hai nit bas ki mujh kun
sad-haif mere pas wo gulzar na aaya


bazar-e-sukhan garm kiya us ki sifat sun
mujh sher ka haihat kharidar na aaya
likh bar saha bagh mein mali ka tahura
par sair katin wo gul-e-be-e-khar na aaya


ai 'mubtala' ye baat likha dil ke upar main
ek roz mujh aaghosh mein wo yar na aaya
11651 viewsghazalEnglish