farq to paDna tha yari mein

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
farq to padna tha yari mein
itni lambi bimari mein
mahfil ka kya lutf uthaen
thak jate hain tayyari mein


ye bhi khud mein ek saza hai
itni der giraftari mein
hami the tartib ke lekin
bhul gae apni bari mein


is se badi mushkil kya hogi
mera khuda hai dushwari mein
yun bhi kam ruswai hui hai
achchhe the duniya-dari mein


38037 viewsghazalEnglish