fart-e-nashat un ke gham-e-bekaran mein hai

By basir-tonkiJanuary 2, 2024
fart-e-nashat un ke gham-e-bekaran mein hai
ye daulat-e-hayat dil-e-kaamran mein hai
aisa hai kaun jis ko shaghaf husn se nahin
jalwagari to husn ki kaun-o-makan mein hai


mahw-e-khiram-e-naz wo hon jis chaman mein bhi
sari bahaar jaise usi gulsitan mein hai
karna zarur hai hamein raushan charagh-e-rah
tarikiyon ka sath rah-e-karwan mein hai


rahmat khuda ki hum pe barasti hai raat-din
har dam khuda ka shukr zaban-o-bayan mein hai
sare jahan mein bhi mayassar kahin nahin
jo rahat-o-sukun mere hindostan mein hai


qaid-e-gham-e-hayat se 'basir' mafar kahan
ye zindagi tamam rah-e-imtihan mein hai
68465 viewsghazalEnglish