farzane to zom-e-KHirad mein aap apne sayyaad hue
By mansha-ur-rahman-khan-manshaSeptember 24, 2023
farzane to zo'm-e-khirad mein aap apne sayyaad hue
qaid-e-zaman aur band makan se diwane aazad hue
chand sitaron ki duniya mein kya raunaq hai kya halchal
shukr hai apne josh-e-junun se virane aabaad hue
ishq ke hathon kaise kaise log hue hain khak-basar
kya batlaen is fitne se kitne ghar barbaad hue
kaun hai jo is raaz ko samjhe kis ko hum ye baat bataen
tere gham ki daulat pa kar hum kitne dil-shad hue
sare jahan mein aam hain jin ki masumiyyat ke charche
shan khuda ki apne haq mein log wahi jallad hue
un ki mahfil saz bhi un ke un ka zamana un ki bahaar
un ke nale naghme thahre git apne fariyaad hue
barson sher-o-sukhan ki khatir khun-e-dil se kaam liya
'mir' se shair tab ai 'mansha' is fan mein ustad hue

95254 viewsghazal • English