fasana-e-gham-e-dil aapko suna dete

fasana-e-gham-e-dil aap ko suna dete
ghurur-e-husn ko hum aur kuchh badha dete

nigah-e-shauq pe ilzam-e-hashr aa jata
jo aap hashr se pahle naqab utha dete

nigah-e-naz se ek bar dekh lete idhar
tumhaari nazron ko hum umr bhar dua dete

khata muaf na hoti ye garmi-e-mahfil
hum apna dil na agar shama san jala dete

mata-e-zist usi dard ko samajhte hain
wagarna yaad teri dil se hum bhula dete

ye gulshan apni hi ranginiyon pe nazan hai
na jaane ahl-e-nazar hain kise dua dete

khayal-e-zulf raha maqsad-e-hayat 'shamim'
bahaar-e-sham-e-chaman par dhyan kya dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close