fasana-e-gham-e-jaanan kisi pe bar nahin

By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
fasana-e-gham-e-jaanan kisi pe bar nahin
ab apne dil ke siwa koi raazdar nahin
meri nigah ki rif'at pe hai madar us ka
teri ada pe mohabbat ka inhisar nahin


badal na jae kahin mere e'timad ka rukh
wo mo'tabar hai yahan jis ka e'tibar nahin
ek aisa jam idhar bhi bahaar ke saqi
ba-qadr-e-zarf abhi tak mujhe khumar nahin


ba-zid hai aaj jahan ko tabah karne par
ye aadmi ki jise koi ikhtiyar nahin
kuchh is tarah se hui hai chaman ki nashw-o-numa
meri nigah ki had tak kahin bahaar nahin


khizan-nasib hain ab tak fazaen gulshan ki
chaman ke zarf mein gunjaish-e-bahaar nahin
fazaen gunj uthengi mere taranon se
khamosh hun ki abhi mausam-e-bahaar nahin


mizaj dil ka samajh mein na aa saka 'maikash'
khushi bhi ras nahin gham bhi sazgar nahin
61644 viewsghazalEnglish