fasl aai gham ki jadu shauq ke chalne lage

By ishrat-jahangirpuriJanuary 3, 2024
fasl aai gham ki jadu shauq ke chalne lage
bagh-e-wahshat ke shajar phir phulne phalne lage
zindagi meri badal di barhami-e-naz ne
dard ke sanche mein lamhat-e-tarab dhalne lage


dilbari ko phir wafa ka imtihan manzur hai
saya-e-mizhgan mein un ke fitne phir palne lage
fasl-e-gul tu hi bata ye daur kaisa aa gaya
ab to aae din chaman mein aashiyan jalne lage


raaz-e-hasti kholti hai jaise fitrat ki zaban
dastan taron ki suniye raat jab dhalne lage
is se badh kar aur kya mujh ko mitaenge ki wo
khud kaf-e-afsos mere haal par malne lage


muskuraya hai tasawwur mein ye 'ishrat' kaun aaj
har taraf bazm-e-tamanna mein diye jalne lage
67714 viewsghazalEnglish