fasla yun to meri jaan nahin hai koi
By adnan-asarJanuary 18, 2025
fasla yun to meri jaan nahin hai koi
par mulaqat ka imkan nahin hai koi
'ishq karna to hai insan ka buniyaadi haq
aap ka mujh pe to ehsan nahin hai koi
jab talak khud pe na tuta ho musibat ka pahad
aisa lagta hai pareshan nahin hai koi
is qadar gard faza mein hai ki dam ghutta hai
sans lena yahan aasan nahin hai koi
jo bhi milta hai use dil se laga lete ho
tum ko dushman ki bhi pahchan nahin hai koi

82555 viewsghazal • English