fasurda lakh ho dil shoala-samani nahin jati sukun mein bhi mere dariya ki tughyani nahin jati dam-e-nazzara bhi apni pareshani nahin jati bikhar jate hain jalwe shakl pahchani nahin jati dil-e-sada mein o zauq-e-mohabbat bakhshne wale abhi tak teri bakhshish ki gul-afshani nahin jati abhi tak pai-ba-pai nakaamiyon se dil nahin thakta abhi tak aarzuon ki farawani nahin jati na jaane kis nazar se tujh ko kis aalam mein kab dekha ki ab tak dida-e-hairan ki hairani nahin jati 'saba' ne gudgudaya kuchh nasim-e-subh ne chheda 'mubarak' phir bhi gul ki pak-damani nahin jati