fath kitni KHub-surat hai magar kitni garan

By abdul-aziz-khalidApril 23, 2024
fath kitni khub-surat hai magar kitni garan
barha rad ki hai main ne dawat-e-wasl-e-butan
naghma-e-bulbul hai faryaad-e-wida-e-fasl-e-gul
sai-e-hasil dar-haqiqat hai mata-e-raegan


zinda rahne ke hain imkanat kya aasar kya
kaun si qadren hain baqi kaun si sachchaiyan
sha'iron ka kaam kya tansiq-e-ausaf-o-lughut
ya sana shahon ki ya madh-e-sarapa-e-butan


zahr hai fan ke liye darbar-dari ka mizaj
kam-tarin-e-shart-e-goyai hai ikhlas-e-bayan
tere hathon par laga hai be-gunahon ka lahu
jam-e-jam mein mai nahin khun-e-siyaadish hai mughan


main to pita hun faqat gulnar honton ki sharab
sabbeh-ism-e-rabbekal-ala rahe wird-e-zaban
khatm hain is shokh raana par tarah-dari ke rang
qadd-e-baala jis ka hai rashk-e-qazib-e-khaizran


jhanjhana uthne ko hain betab tan bina ke tar
kaun lae tab husn-e-be-hijab-e-mah-washan
be-niyaz-e-harf hai guftar-e-chashm-e-pur-sukhan
darmiyan-e-mahraman-e-jaan hai na-mahram zaban


koi tanhai ka gosha koi kunj-e-afiyat
'ashiq-o-ma'shuq yakja hon kahan ai aasman
ai muhibbo rah-e-ulfat mein har ek shai hai mubah
kis ne khincha hai khat-e-hijran tumhaare darmiyan


titliyan dekhi hain baithi khushk phulon par kabhi
hajaten apni karo tum khub-ruon se bayan
hum ne ninden de ke raaton se kharide ratjage
hum se kam honge ukaz-e-dahr mein bazargan


raat-din sunte hain taswilat-e-arbab-e-hasad
ehtiyaj-e-dushmanan bhi hai hunar ko be-guman
jaane kin auqat mein likhta tha qanun-o-shifa
bu-ali-sina wo maqtul-e-mughan shewa-butan


maut se wahshat hai logon ko mohabbat mal se
bang-e-be-hangam hai kus-e-rahil-e-karwan
hai qarib ai shab zara subh-e-qayamat ka tulua
tutne ko hai azal-taban tanab-e-kahkashan


tum akele aae duniya mein akele jaoge
zindagi ek pal hai kya pul par banate ho makan
khizr zinda hai magar zindani-e-umr-e-abad
ai ajal kis kaam ki aisi hayat-e-jawidan


main bhi hun manind mamun ke amir-ul-kafrin
bas-ki hun warafta-e-fikr-o-fan-e-yunaniyan
hai sulaiman ki taraf waqif lisan-uttair se
shair-e-zohra-nigahan khalid-e-uqda-zaban


go harim-e-agahi ki shakl bhi dekhi nahin
hai ba-zom-e-khwesh dana-e-rumuz-e-kun-fakan
61656 viewsghazalEnglish