fauj-e-mizhgan ka kuchh irada hai

By muneer-shikohabadiNovember 9, 2020
fauj-e-mizhgan ka kuchh irada hai
zulf-e-pechan ne lam bandha hai
lab-e-rangin ko kis ne chusa hai
dekh lo ye aqiq jhuta hai


kaun aaya chhadi sawari se
ne sawari ka kis ki shohra hai
dant khatte hue anaron ke
un ka seb-e-zaqan ye mitha hai


bosa-e-lab diya jo bigde ghair
phut mein tum ne qand dala hai
katte ho hamare nam ke harf
khub shosha hai zor-e-fiqara hai


wasf-e-qad ke do-chand hain mazmun
koi misra nahin hai dohra hai
dant kanghi ka he magar mujh par
mar-e-gesu jo kate khata hai


khub hai wasl-e-ashiq-o-mashuq
ye bhi jodi ka ek nuskha hai
zakhm-e-dil par namak chhidakwao
zaiqa mere munh ka phika hai


ghair ke ghar baja rahe ho sitar
tum ne dar-parda that badla hai
koi taza kuan jhakaenge
in dinon ikhtilat gahra hai


chutki angiya mein tum na takwao
gore sine mein nil padta hai
bosa honton ka mil gaya kis ko
dil mein kuchh aaj dard mitha hai


chain se hain faqir baad-e-fana
qabr ke bhi sirhane takiya hai
ai 'munir' aap kyun hain aazurda
ye to kahiye mizaj kaisa hai


77393 viewsghazalEnglish