fauran sipah-e-shum ki lalkar band ho

By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
fauran sipah-e-shum ki lalkar band ho
yunhi alaf jalal se mera samand ho
apne hi dil pe jab mera qabu nahin raha
kaise kisi jahan pe meri kamand ho


tere nawah mein kai kachche makan hain
itna na sath-e-ab se dariya buland ho
insaniyat wujud ke jauhar ka nam hai
so aankh nam na ho bhi to dil dard-mand ho


ukta gaya hun dekh ke hamwar zindagi
ji chahta hai ab kahin past-o-buland ho
karta nahin kisi ke sahaare pe inhisar
jis shakhs ka mizaj haqiqat-pasand ho


chalta hun main bhi sath mu'afi ke waste
mumkin hai meri zat se pohncha gazand ho
tab tak kisi ke 'ishq ka da'wa darogh hai
jab tak jigar na sokhtagi se sipand ho


mera nishan kaun-o-makan dhundte phiren
aisi hudud-e-jism se bahar zaqand ho
75000 viewsghazalEnglish