faza behtar banana chahti hai

By chand-kakralviJanuary 19, 2024
faza behtar banana chahti hai
kali ab muskurana chahti hai
khula rahta hai darwaza bhi lekin
hawa khidki se aana chahti hai


'ajab dimak hai mitti mein yahan ki
nae paudon ko khana chahti hai
mila karte the jis par do parinde
wo shakh ab sukh jaana chahti hai


20722 viewsghazalEnglish