faza-e-gulsitan se dil agar begana ho jae
By mukhtar-ashiqi-jaunpuriJuly 15, 2021
faza-e-gulsitan se dil agar begana ho jae
har ek gul khar sa khanke chaman virana ho jae
idhar aao bataun main tumhein diwangi kya hai
jise diwana kah do tum wahi diwana ho jae
hawaen nachti aain fazaen jhumti aain
ada phir aaj saqi sunnat-e-mai-khana ho jae
tumhin insaf se kah do maal-e-ishq kya hoga
harif-e-naqsh-e-pa gar sajda-e-shukrana ho jae
mujhe saqi pila yun mai-kada-bar-dosh aankhon se
nazar jis shai pe dalun main wahi paimana ho jae
karam-parwar nazar se tum kabhi dekho agar mujh ko
mukammal zindagi ka nau-ba-nau afsana ho jae
bane shagird 'ashiq' jaunpuri ka agar koi
yaqin 'mukhtar' hai wo shair-e-farzana ho jae

13204 viewsghazal • English