fida kar jaan agar jaani yahi hai

By siraj-aurangabadiNovember 21, 2020
fida kar jaan agar jaani yahi hai
are dil waqt-e-be-jaani yahi hai
yahi qabr-e-zulekha sin hai aawaz
agar hai yusuf-e-sani yahi hai


nahin bujhti hai pyas aansu sin lekin
karen kya ab to yan pani yahi hai
kisi aashiq ke marne ka nahin taras
magar yan ki musalmani yahi hai


birah ka jaan kandan hai nipat sakht
shitab aa mushkil aasani yahi hai
piro tar-e-palak mein dana-e-ashk
ki tasbih-e-sulaimani yahi hai


mujhe zalim ne giryan dekh bola
ki is aalam mein tufani yahi hai
zamin par yar ka naqsh-e-kaf-e-pa
hamara khatt-e-peshani yahi hai


wo zulf-e-pur-shikan lagti nahin hat
mujhe sari pareshani yahi hai
na phirna jaan dena us gali mein
dil-e-be-jaan ki bani yahi hai


kiya raushan charagh-e-dil kun mere
'siraj' ab fazl-e-rahmani yahi hai
74305 viewsghazalEnglish