fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun qissa-e-sazish-e-aghyar kahun ya na kahun shikwa-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun jaane kya waza hai ab rasm-e-wafa ki ai dil waz-e-derina pe israr karun ya na karun jaane kis rang mein tafsir karen ahl-e-hawas madh-e-zulf-o-lab-o-rukhsar karun ya na karun yun bahaar aai hai imsal ki gulshan mein saba puchhti hai guzar is bar karun ya na karun goya is soch mein hai dil mein lahu bhar ke gulab daman o jeb ko gulnar karun ya na karun hai faqat murgh-e-ghazal-khwan ki jise fikr nahin moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun