fikr hum ko nahin ki kya hoga
By gulnaz-khanOctober 24, 2023
fikr hum ko nahin ki kya hoga
jab kiya hai bura bura hoga
hum ne jo aap se kaha hoga
aap ne aur kuchh suna hoga
zindagi raat-din wahi ki wahi
maut ke pas kuchh naya hoga
mujh ko tanha rakha hai duniya mein
mere hisse mein kuchh bacha hoga
khushbu meri chura ke wo gum hai
har gali gul khila raha hoga
jab kiya hai bura bura hoga
hum ne jo aap se kaha hoga
aap ne aur kuchh suna hoga
zindagi raat-din wahi ki wahi
maut ke pas kuchh naya hoga
mujh ko tanha rakha hai duniya mein
mere hisse mein kuchh bacha hoga
khushbu meri chura ke wo gum hai
har gali gul khila raha hoga
91036 viewsghazal • English