fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai

By mohammad-abdul-hameed-siddiqi-nazar-lakhnawiNovember 6, 2020
fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai
aae gar husn-e-khayal us ko sambhaal achchha hai
mere ehsas-e-khudi par na koi zad aae
tu jo de de mujhe be-harf sawal achchha hai


aap manen na bura gar to kahun ai naseh
sahab-e-qal se to sahib-e-haal achchha hai
be-khayali na rahe kham-khayali se bacho
dil mein bas jae jo un ka hi khayal achchha hai


tere rukh par ho masarrat to mera dil masrur
tere chehre pe na ho gard-e-malal achchha hai
pursish-e-gham bhi nahin niz mulaqat nahin
aap ko hum se gharibon ka khayal achchha hai


koi kahta hai mubarak ho tujhe daur-e-firaq
main samajhta hun magar roz-e-visal achchha hai
mulk-giri ki hawas mein ho to fitna khud hi
aur fitna ko mitae to qital achchha hai


be-niyaz-e-gham-e-uqba jo 'nazar' tujh ko kare
aal-o-aulad wo achchhi na wo mal achchha hai
88663 viewsghazalEnglish