fitne ajab tarah ke saman-zar se uthe sare parind shakh-e-samar-dar se uthe diwar ne qubul kiya sail-e-nur ko sae tamam-tar pas-e-diwar se uthe jin ki numu mein thi na muawin hawa koi aise bhi gul zamin-e-khas-o-khar se uthe taslim ki sirisht bas ijab aur qubul sare sawal jurat-e-inkar se uthe shahr-e-talluqat mein udti hai jin se khak fitne wo sab raunat-e-pindar se uthe aankhon ko dekhne ka saliqa jab aa gaya kitne naqab chehra-e-asrar se uthe taswir-e-gard ban gaya 'akbar' chaman tamam kaise ghubar wadi-e-kohsar se uthe