fitrat ki band muTThiyon ko kholta raha

By haris-bilalFebruary 6, 2024
fitrat ki band mutthiyon ko kholta raha
main aaina-mizaj tha aur bolta raha
ek khwab sare shahr mein le kar phira mujhe
ek lau ke sath sath diya dolta raha


yunhi na tha simatna mera phailna mera
apne kinaron par main badan tolta raha
mujh ped ki jadon mein utar kar shifa hua
nuskha jo khak-e-pa mein koi rolta raha


dil ka koi makin yunhi uth ke chal pada
bahta hua ragon mein koi khaulta raha
'haaris' tamam shor-sharabe mein teri misl
ek rag mere kan mein ras gholta raha


20530 viewsghazalEnglish