fitrat pe us ki main hua hairan ziyaada insan ki shakl mein mile shaitan ziyaada mujh se tumhaare husn ki tahsin na ho saki itni si baat pe utha tufan ziyaada achchha tha tujh se meri shanasai nahin thi ai na-shanas main hun pareshan ziyaada barish hai tez chhat hai shikasta jagah jagah is pe hamare ghar mein hain mehman ziyaada shayad nahin hai is ke siwa mujh mein kuchh hunar bas aadmi ki hai mujhe pahchan ziyaada chehra tumhaara jaise koi mo'atabar kitab pukhta hua hai aur bhi iman ziyaada 'atish' nahin hai zikr ukhuwwat ka kis jagah bas padhte jaiye miyan quran ziyaada