fitratan apne hi aalam se thi ghabrai hui
By rana-khalid-mahmood-qaiserFebruary 28, 2024
fitratan apne hi 'alam se thi ghabrai hui
wo nazar mere tasawwur mein thi sharmai hui
ek 'alam tha nigah-e-shauq ke e'jaz ka
ab ada-e-husn-e-jalwa aap ki chhai hui
dekhne walon ne dekha hai tadapta raat-din
ye musibat mere sar par aap ki lai hui
kar gai mahfil mo'attar zulf lahraate hue
phul ki khushbu thi ya thi zulf mahkai hui
is qadar shohrat mili sab ka fasana ho gai
dastan meri zaban-e-shauq par aai hui
aarzuon ka lahu aankhon se zahir ho gaya
har kali thi gulshan-e-hasti mein kumhlai hui
aap ki baaton pe wo bhi ghaur farmane lage
aap ki baaton mein 'qaisar' kitni gahrai hui

79268 viewsghazal • English