fursat nahin hai mujh ko mohabbat ke khel se main kyun ladai lun kisi pagal chudail se ye zulm bhi hua hai mohabbat ke nam par banu-e-shahr khinchi gai hai nakel se us se bichhad ke khud ko sambhaala nahin gaya lagta hai gir padi hun kisi chalti rail se ab main kahan visal ka pauda lagaungi ye ghar to bhar gaya hai udasi ki bel se bachpan mein chand bhi koi panchhi laga mujhe lagta tha gir padega ye meri ghulail se