gahe-gahe main tujhe yaad bhi kar sakta hun

By salim-saleemFebruary 28, 2024
gahe-gahe main tujhe yaad bhi kar sakta hun
ek dil hai use barbaad bhi kar sakta hun
‘alam-e-khwab mein hai tujh se mulaqat ki sham
tu nahin to tujhe ijad bhi kar sakta hun


hai bahut sakht teri zulf ki zanjir magar
ek din khud ko main aazad bhi kar sakta hun
khamushi tod raha hun abhi andar andar
apne bahar ise faulad bhi kar sakta hun


ek din dekhna sahraon se aate jate
main tere shahr ko ham-zad bhi kar sakta hun
71376 viewsghazalEnglish