gale lagae raha sab ka dhyan tha itna gai ruton ka shajar mehrban tha itna na jaane kitne samundar utar gae honge kisi ke panw ka gahra nishan tha itna khalaon mein had-e-fasil ko khinchne walo zamin se dur kabhi aasman tha itna khada hai samne ban kar khulus ka paikar jo shakhs dekhne mein bad-zaban tha itna badan se ruh nikalne ke baad laut aai wo mar ke bhi na mera sakht-jaan tha itna wo apne qad ko badha kar bhi chhu nahin pae jhuka hua ye tera saeban tha itna koi charagh-e-sahar tak na chal saka ai 'shad' gali ke mod pe khuni makan tha itna