gale se dil ke rahi yun hai zulf-e-yar lipat ki jun sapere ki gardan mein jae mar lipat maze uthate qamar-band ki tarah se agar kamar se yar ki jate hum ek bar lipat hamare pas wo aaya to khol kar aaghosh ye chaha jawen hum us se ba-inkisar lipat wahin wo dur sarak kar itab se bola hamare sath na ho kar tu be-qarar lipat hamein jo chahen to lapten 'nazir' ab warna tu chahe lipte so mumkin nahin hazar lipat