ganthi hai us ne dosti ek pesh-imam se 'adil' utha lo hath dua-o-salam se pani ne rasta na diya jaan-bujh kar ghote lagae phir bhi rahe tishna-kaam se main us gali se sar ko jhukae guzar gaya chilghoze phenkti rahi wo mujh pe baam se wo kaun tha jo din ke ujale mein kho gaya ye chand kis ko dhundne nikla hai sham se kone mein baadshah pada unghta raha table pe raat kat gai begam ghulam se nashsha sa dolta hai tere ang ang par jaise abhi bhigo ke nikala ho jam se