gar humse na ho wo dil-sitan ek

By mushafi-ghulam-hamdaniNovember 9, 2020
gar hum se na ho wo dil-sitan ek
kar dije zamin o aasman ek
aashiq ka tere hamare gham ne
chhoda na badan mein ustukhan ek


hum chhut ke jab qafas se aae
dekha na chaman mein aashiyan ek
kahti thi khalq rah ai zulekha
kanan se chala hai karwan ek


yak-rangi kahen hain kis ko
yani
do shakhs ka howe jism o jaan ek
sazish kisi dhab se kar bhi lije


us dar pe jo howe pasban ek
hai wan to naya raqib har dam
hone pate hain hum kahan ek
hasrat hai ki yun lute chaman aur


gul hum ko na dewe baghban ek
aahista ki qafile ke pichhe
aata hai gharib-e-na-tawan ek
hum karte hain sau zaban se baaten


yun kahne ko munh mein hai zaban ek
is par bhi ai 'mushafi' hamara
qissa ek aur hai dastan ek
20166 viewsghazalEnglish