gar mohabbat ho to aisa nahin karte jaanan

By asima-farazJanuary 2, 2024
gar mohabbat ho to aisa nahin karte jaanan
bich raste mein to chhoda nahin karte jaanan
tum kisi khwab ki surat ho meri aankhon mein
khwab aankhon ko to nocha nahin karte jaanan


jaan se pyaron pe bahut man hua karta hai
yun kisi man ko toda nahin karte jaanan
yaad rakhne ke jo qabil hon unhi logon ko
is qadar jald to bhula nahin karte jaanan


'ishq mein jhukne se tauqir nahin ghatti hai
khud-parasti ko labaada nahin karte jaanan
rah-e-pur-khar pe hota hai kathin chalna magar
sath dena ho to socha nahin karte jaanan


zarf wale hain isi waste chup hain itne
gham ko sahte hain tamasha nahin karte jaanan
tum jo kahte ho ki ji paoge mere bin bhi
khud pe itna bhi bharosa nahin karte jaanan


samne wala hi har bar manaega hamein
aisi ummid pe rutha nahin karte jaanan
59753 viewsghazalEnglish