gar na hota hai teri ana ke liye
By sarahat-ahmad-sarahatJanuary 4, 2024
gar na hota hai teri ana ke liye
to nibhata na pas-e-wafa ke liye
tum mere zabt par ro padoge kahin
aazmao na mujh ko khuda ke liye
sham' tufan ki aaghosh mein so gai
bujh gai shab tadap kar ziya ke liye
rukh zara mod le is qafas ki taraf
ai nasim-e-sahar ab khuda ke liye
to nibhata na pas-e-wafa ke liye
tum mere zabt par ro padoge kahin
aazmao na mujh ko khuda ke liye
sham' tufan ki aaghosh mein so gai
bujh gai shab tadap kar ziya ke liye
rukh zara mod le is qafas ki taraf
ai nasim-e-sahar ab khuda ke liye
64848 viewsghazal • English