gar pareshaniyan nahin aatin
By surender-sagarJanuary 5, 2024
gar pareshaniyan nahin aatin
rishton mein talkhiyan nahin aatin
is liye bhi alag hun main sab se
mujhe chaalakiyan nahin aatin
wo mujhe bhul hi gaya shayad
aaj-kal hichkiyan nahin aatin
gar na ho zimmadariyon ka bojh
chehre par jhurriyan nahin aatin
barishon ka kharaba hai warna
sadkon par kashtiyan nahin aatin
aisa badnam hai mera gulshan
phulon par titliyan nahin aatin
tera rona faqat dikhawa hai
jab talak siskiyan nahin aatin
rishton mein talkhiyan nahin aatin
is liye bhi alag hun main sab se
mujhe chaalakiyan nahin aatin
wo mujhe bhul hi gaya shayad
aaj-kal hichkiyan nahin aatin
gar na ho zimmadariyon ka bojh
chehre par jhurriyan nahin aatin
barishon ka kharaba hai warna
sadkon par kashtiyan nahin aatin
aisa badnam hai mera gulshan
phulon par titliyan nahin aatin
tera rona faqat dikhawa hai
jab talak siskiyan nahin aatin
40984 viewsghazal • English