gar tar-e-nafas TuTe to sab KHatm tera shor

By samar-khanabadoshFebruary 28, 2024
gar tar-e-nafas tute to sab khatm tera shor
ai paikar-e-khaki ye tera zo'm tera zor
tu baam pe thahra hai to itna bhi na kar naz
patal mein aa bhatkega kat jae agar dor


mitti hi bharegi teri khwahish ka piyala
insan teri fitrat hai abhi aur abhi aur
hai khak ki khurak yahan khak ke purze
bas teri ye waq'at hai kabhi is pe kiya ghaur


har chiz ki gardan mein qilada hai fana ka
bachta hi nahin koi yahan par to kisi taur
sab pichhe hi rah jaenge ai 'khana-ba-dosha'
ye mal maweshi tere dangar ye tere dhor


65603 viewsghazalEnglish