garaj-baras pyasi dharti par phir pani de maula chidiyon ko dane bachchon ko gud-dhani de maula do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota hai soch samajh walon ko thodi nadani de maula phir raushan kar zahr ka pyala chamka nai saliben jhuton ki duniya mein sach ko tabani de maula phir murat se bahar aa kar chaaron or bikhar ja phir mandir ko koi 'mira' diwani de maula tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyun ho jine walon ko marne ki aasani de maula