garche main apne qad ke barabar nahin raha
By azhar-kamal-khanJuly 2, 2022
garche main apne qad ke barabar nahin raha
lekin amir-e-shahr se dar kar nahin raha
ye bhi nahin ki ab wo sitamgar nahin raha
itna zarur hai ki wo patthar nahin raha
be-samt raston ke musafir hain sab yahan
koi bhi ek madar ke andar nahin raha
ahl-e-khirad ka naz baja hai magar kabhi
ahl-e-junun ke hath mein patthar nahin raha
'azhar' guzar rahe hain shab-o-roz is tarah
aankhon mein koi pyar ka manzar nahin raha

90833 viewsghazal • English