gard-e-rah ban kar faqat ek hum safar ke ho gae

By manzar-suhaiSeptember 24, 2023
gard-e-rah ban kar faqat ek hum safar ke ho gae
rahen thin lakhon magar ek rah-guzar ke ho gae
roen rona kis liye hum apni tanhai ka ab
ab pasheman kya hon jab dhoke nazar ke ho gae


hum ne socha tha rahoge yunhi tum mere magar
tum bhi auron ki tarah hi mal-o-zar ke ho gae
ganw ki kachchi sadak phir yaad na aai tumhein
shahr ja ke tum to ai hamdam shahar ke ho gae


aakhirash tum ne bhi apne rang dikhla hi diye
jis taraf duniya hui tum bhi udhar ke ho gae
jis zamin par aae the aadam saza ke taur par
us zamin par kis qadr nakhre bashar ke ho gae


mauj-e-dariya se bhala ab kya shikayat ho mujhe
jabki yan apne safine bhi bhanwar ke ho gae
ek wahdat hath se chhuti to duji hath aai
ek khuda ko chhod kar hum ek bashar ke ho gae


apne mohsin ke liye rakkha nahin dil mein nifaq
rah ko aankhon se chuma rahbar ke ho gae
chilchilati dhup mein is zindagi ki ai 'suhail'
jis se bhi saya mila hum us shajar ke ho gae


20797 viewsghazalEnglish