gard-e-safar mein rah ne dekha nahin mujhe

By zeeshan-sahilNovember 30, 2020
gard-e-safar mein rah ne dekha nahin mujhe
ek umr mahr o mah ne dekha nahin mujhe
achchha hua ki khak-nashinon ke ru-ba-ru
us shahr-e-kaj-kulah ne dekha nahin mujhe


main dekhta tha rang badalti hui nigah
badli hui nigah ne dekha nahin mujhe
meri sada wahan pe tujhe kaise dhundti
teri jahan panah ne dekha nahin mujhe


har mauj-e-dard khud main utare chala gaya
'sahil' dil-e-tabah ne dekha nahin mujhe
50394 viewsghazalEnglish