gard ke unwan se kyon mil rahi hai gard saqi dard-mandani ki jaanib aae hain hamdard saqi wo jo saghar hath mein le chashm se hi jam hoga barha wo mahfilon ki shan hai mai fard saqi bazm-e-khud ke mausamon ki rang-o-bu sarshaar hai yan garmi-e-mai-nosh pa kar kuchh to hai wan sard saqi be-badal be-ikhtiyaran kya mujhe sar chur shisha mujh ko phir de kar dawa kar tu dawa ko dard saqi ashk aajiz hote hote ishq bais kyon na hoga ek hi dam soz se jo dekh le be-pard saqi hazrat-e-naseh se ja malum kar dard-o-kasak tu ek hai be-dard saqi ek hai pur-dard saqi