gardish-e-waqt ka manzar nahin dekha jata

By umair-ali-anjumJanuary 5, 2024
gardish-e-waqt ka manzar nahin dekha jata
yar ke hath mein khanjar nahin dekha jata
koi rukhsat kare aur aankh mein aansu bhi na hon
aise lamhat mein mud kar nahin dekha jata


ye riwayat mere purkhon se chali aai hai
'ishq mein yar ko chhu kar nahin dekha jata
ai khuda shahr ke hakim ko hidayat de de
chaar-su 'arsa-e-mahshar nahin dekha jata


hum ki dam todti qadron ke amin hain hum se
bint-e-hawwa ka khula sar nahin dekha jata
hae us husn-e-bala-khez ki tasir 'umair'
der tak us ko barabar nahin dekha jata


28814 viewsghazalEnglish