gardish ki raqabat se jhagde ke liye tha jo ahd mera titli pakadne ke liye tha jis ke liye sadiyan kai tawan mein di hain wo lamha to mitti mein jakadne ke liye tha haalat ne ki jaan ke jab dast-daraazi har sulh ka pahlu hi jhagadne ke liye tha munh zoriyan kyun mujh se saza-war thin us ko phailao jahan us ka sukadne ke liye tha qurban thin baalidgiyan nakhl-e-talab par kya josh-e-numu aap ukhadne ke liye tha pani ne jise dhup ki mitti se banaya wo daera-e-rabt bigadne ke liye tha