garmi-e-ishq ke baghair lutf-e-hayat raegan ishq hai zindagi ka rup ishq se zindagi jawan hae wo chand saaten guzrin jo tere qurb mein rashk se dekhti rahi jin ko hayat-e-jawedan uf-ri manazil-e-buland tere harim-e-naz ki pa-e-talab ko kitne tai karne pade hain aasman barq ki dastaras se dur asr-e-nau ke ai tuyur aur buland aashiyan aur buland aashiyan garm husul ju-e-shir han yunhi mard-e-tesha-gir tesha-zani hai dahr mein asl hayat-e-kaamran mohtasib-e-sharab to bazm-e-jahan mein hain bahut ye bhi kaho ki hai koi mohtasib-e-gham-e-nihan jazba-e-himmat ai 'nihaal' jab ho mera sharik-e-haal mere labon pe aae kyun shikwa-e-gardish-e-zaman