gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan

By ahmad-jahangirMay 24, 2024
gatha padh kar aatish dhonki ganga se ashnan
main ne har yug nazr guzari har pidhi mein dan
dhyan laga kar aankhen mundin baitha ghutne tek
mitha lafz bhajan ban utra sachcha she'r gunan


man dharti ko pesh-sukhan ke rang-birange phul
bhag bhari ko bhent sunahre misre ka loban
saya sachchal shah ki ajrak raushan mir charagh
amrohe se uth kar aae hum bagh-e-multan


sayyare par zardi utri dariya mitti khushk
hathi par haudaj kaswao naqe par palan
ai dharti ke tyagi uth kar ghor khala mein baith
agli gadi ki ghanti tak tu hai aur rahman


farsh lapete tare jhade narsange ki phunk
palan-haara tu data hai kar jo chahe than
manzar aab-o-tab samete shayad hai maujud
lams haqiqat 'aks mujassam aawazon par kan


22121 viewsghazalEnglish