gaya bekar aaKHir ye baras bhi

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
gaya bekar aakhir ye baras bhi
mohabbat bhi adhuri hai hawas bhi
use bas sochna aur likhte rahna
yahin tak hai hamari dastaras bhi


bada da'wa hai tujh ko dilbari ka
garajne wale aa ek din baras bhi
darindon ke parindon ke maze hain
kabhi insan pe aaega taras bhi


use ek bar bas ek bar mil lo
to kam pad jaen dil do chaar das bhi
83032 viewsghazalEnglish